Meri maa k aanchal me meri duniya basti hai
Maa hi meri jindgi ma hi meri hasti hai
Us bin kuch bhi to nahi hun mai
Kyuki maa hi meri ubharti hui kasti hai...
Har sahi galt mai mujh fark maa ne smjhaya
Apne or prayo ke sath rehna maa ne sikhlaya
Ek pal bhi nahi reh pata hun us bin
Kyuki maa k pyar ne hi mujh hasna sikhlaya...
Jab bhi mai kabhi udas hue baitha hota hun
Apne se hi dur kahin khoya hua hota hun
Maa hi mujh milati h mujh se
Jab mai khud se b khfa hua baitha hota hun...
Maa k pyar ka izhar mujh se nahi hota
Me dur hota hun pr mera dil dur nahi hota
Har sans se mehk aati h mujh mere maa k pyar ki
Kyuki maa ka pyar h k kabhi kam hi nahi hota...
Bachpan mai khilono k sath khelna maa ne sikhlaya
Bade hue to maa ne hume bht kuch smjhaya
Kabhi kabhi khfa hokr baitha jati thi maa mujh se
Pr har gum ko bhula kr pyar krna bhi maa ne hi sikhlya ..
Jab chalna bhi mujh nahi aata tha
Ungli pkd kr chlna maa ne hi sikhlaya tha
Umr me bda to ho gya hun ab magar
Rat bhi mne maa ka saya apne sath paya tha..
Ashish Pandit